Search This Blog

Tuesday, 18 November 2014

Urdu Poetry

Reh Reh kai Chonk Chonk kai mai Neend se Jaagoun
Ban ban kai Bikharty Hai Mery Sapnay Subha-O-Sham




Tera chehra phir ager main dekh loon bas aik baar

Shuker kartay kartay baqi zindagi ko doon guzaar





Ab zid pe aa gaye ho to ye kaam bhi kero

Khud ko humaray naam say badnaam bhi kero




Manzil Pe Ja K Bhi Use Khona Pare Ga...

Ye Tay Hai To Phir Shoq-e-Safar kyun Nahin Jata





Agar woh pooch lain hum se, tumhain kis baat ka gham hai?
Tou phir kiss baat ka gham ho agar woh pooch lain hum se



Tum Laut k Anay Ka Takalluf Mat Karna "Wasi"

Hm Aik Muhabbat Ko Dubara Nahen Kartay





Muhabbaton Mein Yehi Khauf Kyun Musalat Rehta Hai GHALIB??

Kahen Mery Siva Kisi Aur Se Muhabbat Tou nahi ussay




Wo shakhs to Aik choti Si baat pe Youn rooth k chal dia,

Jaisay usay sadioun sy kisi bahanay ki talash thi



To chalo mein maan lun mujh ko ishq hai tm se,
To chalo tm b kaho isi sabab magroor ho tum!




Tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin

Jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete





Ruthe Sanam ko manane ki khatir.....!!

Khuda ko Naraz kiye Ja rahe hain...!!




Mohabbat Hum bhi ker lein gay
Yeh Galti Tum bhi ker laina,

Chalo Tum say hi ker lein gay

Kissi say Tum bhi ker laina,

Tumhen Hum Dost kehtay hain

Chalo Eik mashwara dein gay,

Mohabbat Tum nay kerni hai,

Sunno...

Hum say hi ker laina..
.




Jab bhi aata hai mera naam tere naam kay saath,
Jaane kyoun log meray naam se jal jate hain.



Moam ki tarha pighaltay hoay dekha us ko
Rutt jo badli badaltay hoay dekha us ko


Wo jo kanton ko bhi narmi se chuwa karta tha

Humne phoolon ko masaltay hoay dekha us ko


Jany kis gham ko chupane ki tammana hai ussay

Aaj har baat pe hanstay hoay dekha us ko


Janay wo mangta tha Rab se duaon mein kissay

Hath uthatay hi sisaktay hoay dekha us ko




Kar na duniya k jhamelon k hawalay mujh ko

Mein tabassum hun to honton pe saja le mujh ko

Tu mila hai to yehi khauf laga rehta hai

Tera milna kisi uljhan main na dalay mujh ko

Teri nafrat ne to majboor kia jeenay par Ab tera pyar kahin mar na dalay mujh ko
Iss yaqeen par hi andheron main safar jari hai
Mil hi jaein gay kisi roz ujalay mujh ko
Be nayazi ka ye andaz nahi kuch bhi Faraz
Baat to tab hai k wo dil se nikalay mujh ko




Naamon ka ek hajoom sahi mere aas pass
Dil sunn ka aik naam dharakta zaroor hai


Koi to aisi baat kro 
Jis se lgay tum mere ho


Lafz kehne walon ka kuch nahi jata

Lafz sehnay walay kamal kartay hain

Hansi ati hai apni barbadion per
Na yoon pyar se daikhiye banda parwer
Mere dil ke zakhmon ko neend aa gai hai
Inhain tum jaganay ki koshish na karna

Sitamgar se dono sitamgar ki shikayat 
Na ham kar sakay hain na ham kar sakain gay
Mere aanso'o tum mera sath dena
Unhain kuch batanay ki koshish na karna


Or bhi dukh hain zamanay main mohabbat k siwa
Rahatain or bhi hai wasal ki rahat k siwa






No comments:

Post a Comment