Naaz hai taaqat-e-guftar pe insano' ko
Baat karnay ka saleeqa nahi naadanon' ko
Kis kadar tum pe garan' subh ki baidaari hai!
Hum se kab pyar hai? Han neend tumhain pyari hai
Hum se kab pyar hai? Han neend tumhain pyari hai
Mane'fat aik hai is qom ki nuqsan'bhi aik
aik hi sab ka Nabi (S.A.W), deen' bhi imaan bhi aik
Harm-e-Pak bhi, Allah bhi, Quran bhi aik
Kuch barri baat thi hotay jo Musalman bhi aik
Firqa-bandi hai kahin or kahin zaatein hain
Kia zamanay main pimpnay ki yehi batain hain?
Waza main tum ho Nasari, to tamaddun main Hanood
Ye Musalman hain! jinhain daikh k sharma'ain Yahood
Yoon to Syed bhi ho, Mirza bhi ho, Afghan bhi ho
Tum sabhi kuch ho! Batao to Musalman bhi ho?